Ghalib Song Lyrics Kalm Ink

Ghalib🦋 


Mujhme sawaal kafi aake jawab de na 

Jo ladki tujhse maine dekhe nhi wo khwaab de na 

Mere jeete jee apni maang ni sajaai tune 

Marne ke hi baad meri raakh ko sindur kehna 

Kyuki tu samjhegi ni pyaar Mera jeete jee 

I know tu khush hai bachcha bin mere bhi jee legi 

Jo ladka tere kehne se nashe se dur tha 

Ab Nasha krke sota hai or wazah bhi to tune di 

Khamoshi band kamre me ni hoti insaan me

Mera tu wo wishwaas thi jaisa bhagwan me 

Maine suna ma kehti aurat ghar banati hai

Jab tu hi nhi saath me to ky kru is makaan me 

Kaafi tuta hu me aake jod de na 

Chita ki aag ko tu aansuo se rok de na 

Jab koi tujhse puche ki me kaha hu or kaisa hu 

To hasi rakhna otho me or aansuo ko behne de na 


Tere mere darmiyan duriya badi kyu 

Rehne du Dil me na juda na kr sakenege teri yaad 

Doobe gehraiyon me is kadar 

Lage hai Mera pyaar hua kaakh sa 

Or Tere liye jo kiya tha Dil se yaar 

Tujhe meri na kadar duriya badi apne darmiyan darmiyan


Jo bashti raakh ho gyi us pr ghar ni mera 

Phir bhi jo aag se jala tha wo samman Mera 

Hum dono ladte the or calls pe so jaate the 

Phir subah uthke quotes bheje jispe likha dosh tera 

Ye kaise afsaane ab likhte hai hum 

Rishton ko nashe deke dhoke ka 

Kyu jeete hai hum 

Me tujhko kehta tha ki jaane do n maaf karo 

Tumpe hongi sau jeene ki mujhe to bs ek hai 

Or wo wazah ho tum meri saza ho tum 

Me khana jo ni kra skta wo Nasha ho tum 

Tumko to paake hum benami me jee lenge 

Ye sauhrat tumse upar hai benami me bhi sifa ho tum 

Ab ye gaane kaafi dard bhare 

Kyuki mere undar tere hi to dard bhare 

No one f*c*ing real saali 

Duniya hai ye two face 

Hindi me agar bolu maa to 

Duniya ke yaha do chehre 

Sala jakham tere bahut Jale 

Aankho se kuch dikhta ni tha 

Phir bhi teri aur chale 

Talking real shit kitni 

Ajeeb si baat ye ki 

Dard tere likhta hu 

Or fans ye log mere Bane 

Khamoshi rakhta hu ab hoslo me 

Farq ni padta tum ky soch loge 

Nashe me likhta hu me saari baate panno me 

Behoshi me hu gata socha ni tha mujhse hosh loge 

To aake mujhe samajh na tu 

Aisa koi Banda ni hai 

Jaani jisko samajh na du 

Talking to you all 

Maine maut jeeke dekhi hai 

Real itna zyada maut ko jeene ki wazah ho tum 


Tere mere darmiyan duriya badi kyu 

Rehne du Dil me na juda na kr sakenege teri yaad 

Doobe gehraiyon me is kadar 

Lage hai Mera pyaar hua kaakh sa 

Or Tere liye jo kiya tha Dil se yaar 

Tujhe meri na kadar duriya badi apne darmiyan darmiyan

Tere mere darmiyan duriya badi kyu 

Rehne du Dil me na juda na kr sakenege teri yaad 

Doobe gehraiyon me is kadar 

Lage hai Mera pyaar hua kaakh sa 

Or Tere liye jo kiya tha Dil se yaar 

Tujhe meri na kadar duriya badi apne darmiyan darmiyan.........



Comments

Popular posts from this blog

SHE song lyrics Kalam Ink

Isha Song Lyrics Kalam Ink ❤️‍🩹

Night Talking 🌌 song lyrics Kalam Ink